Tuesday, March 31, 2020

Baatein !

Thodi si roshni
Door kisi pahad se aati hai
Na jaane kyu zindgi
Aaj panchi ki tara gunguna rahi hai

Thdi dheemi , thodi timtimati
Thdi jhilmilati jaati hai
Kisi panchi ki tarah ye bilkul
Azaadi ke liye jhatpatati  hai

Ya yun kahe,
 ki kisi nrityaka ki tarah
Ghungroo pairo mai bandh
Dheeme dheeme
Madhur sa shor machati hai

Yahi to baatein hoti hai
Jinhe sannate  mai bhi hawa gungaati hai
Ya yun kahu ki ye raat meri saheli bankar
Chupke se mere geet gungunati  hai

Jugnoo bhi sunte hai
Aur kehne ko jhingoor bhi
Meri khamoshi ko awaaz bhi dete hai
Aur sang kuch kehte bhi hai kabhi

Bas mai hu aur
ye shaam Ki thodi baatein hai baaki
Kuch adhure kisse keh jaati hai
Aur na jaane kitne kuch sun, apne sang le jaati hai

No comments:

Post a Comment