Rooh dekhi hai kabhi
Chaand ke sire se nikalte huye
Rooh dekhi hai kabhi
Yun hi baarish ke baadlo mai machalte huye
Kabhi tanha khamoshiyon ki guftagu mai uljhi
kabhi chidhiyaa ki tarah chehekti wo phirti
To kabhi khamoshiyon ki hawa se ladti rehti
Rooh dekhi hai kabhi
Kisi ke intezaar mai arse bitate huye
Rooh dekhi hai kabhi
Kisi ke khwaabo mai apna ghar basaate huye
Kabhi sawere si tez roshni wo bikherti rehti
To kabhi raat ke seene mai Mayus yunhi doobi rehti
Rooh dekhi hai kabhi..... !
No comments:
Post a Comment